Sirf daaman ka faasla hota,
Koi to hamaara hota,
Dard ki seema to tab samjhenge,
Tanha kabhi lamha guzaara hota..
Bekhabar hain wo takleef se apni,
Kaash rukh se naqaab utaara hota,
Tamanna thi unki galiyo me marein,
Jashn ka koi to sahaara hota…
Sirf daaman ka faasla hota,
Koi to hammaara hota..
Tum na mani na sahi,
Humne to yeh zid utaara hota,
Ki zameen pe to mil na sake,
Falak ka chamakta sitaara hota….
Sirf daaman ka faasla hota,
Koi to hammaara hota......
No comments:
Post a Comment